Saturday, 24 October 2015

Keser Badam Phirni





Hello dosto...


Ham yaha apne pathko ke liye aj kuch naya leke aye hain jisme aj ap log firni banana sikhenge...dosto mai apko ye bata dena chahta hun ki phirni bhi kheer ka ek roop hai bas ham ise kuch alag tarah se banate hain jisse ye ek nayi recipe ka roop le leti hai ye hamare logo ko bahut pasand ayi hai jyadatar mahilaye ya cooking karne wale log ise banana pasnd karte hain aur ise banana bhi bilkul asan hai to fir chaliye age chal ke sikhte hain firni banane ka tarika...


Phirni banane ke liye awashyak samagri(ingredients)


  1. Chawal (Rice) 100 g
  2. Doodh( Milk) 1 liter
  3. Chini (sugar) 75 g
  4. badam (Almond) 10-12 ptle tukdo me kaat lijiye
  5. Kaju (kasew) 8-10 chhote tukde kar len
  6. Keser (Saffron) lagbhag 20 tukde
  7. Elaichi (Eclair) 2 (elaichi pees len)


Widhi (Method)

Sabse pahle ham ek cup chawal ko pani me bhigo ke 40 - 60 minut ke liye rakh denge.chawal fulne ke bad usko halka dardara karke pees len. Ab ek bhari tali ke bartan me doodh ko gais pe chadhaiye doodh me ubal ane tk doodh ko ubaliye uske bad gais dhimi krke usme pise huye chawal ko daliye aur kalchhul se use dhire dhire chalate rahiye lagbhag 10 minut tak. jisse chawal gal jaiga aur chalate rahne ki wajah se bartan ki tali me chipkega nahi.Ab usme chini(Sugar) kate huye badam kaju daal kar ek do minute tak aur paka lijiye.Ab usme kesar aur peesi huyi ilaichi ko mila dijiye...
Ab apki lajawab phirni taiyar ho chuki hai ap chahe to ise thandha karke khane ke liye ise thodi der ke bad ek ghante ke liye fridge me rakh dijiye.
serve karte samay chhote kate huye kaju badam aur pista ke chhilke ko hata kar isse phirni ko saja dijiye...
Note-Agar ap chahe to pahle se thoda doodh gunguna karke usme kesar mila ke rakh sakte hain jise bad me ilaichi ke sath phirni me daal sakte hain.

Thank you readers...
 By - Akhil Raj

1 comment:

  1. apka blog abhi naya hai plzz hamare blog ko bhi visit kare or blog ka seo kaise kare ke bare me jane.
    http://onlineknowledgeinhindi.com/free-website-kaise-banate-hai/

    ReplyDelete